Aaj phir se hawaa bechain hai
Jaise aandhi aate-aate ruk gayee
Ab kaun girayega
Kachey makaanon ko
Kaise daalege dhool
Kisiki aankhon mein
Bach jaayenge kaanch ke khilone
Peid judey rahenge zameen se
Kuchch ujdega nahin
Sab apni jagah par kaayam hoge
Koi rahem ki bheek nahin maangega
Parinde gir nahin jaayenge
Apne hi pankh ke bojh se
Khidki par dastak ki awaaz nahin aayegi
Khaamoshi ko sataane
Aaj phir se hawaa bechain hai
Aur main bhi
Mujhe bhi woh aandhi chahiye
Jab shaakh par shabnam
Paani ke liye tarse
Har baat ka afsos
Dard ke liye tadpe
Khoon ki leher mein toofan aa jaaye
Aur betaab nasoun mein zindagi bhar de
Bhadakti hui aag ki manzil na ho
Aise sholoun mein hi beqarari hai
Jisey baandh nahin sakte
Woh tamanna hi azaadi hai
Aaj phir se hawaa bechain hai
Jaise kisine uske par kaat liye ho
~FV
- - -
Updated in Devnagari script:
बेचैन हवाएं
आज फिर से हवा बेचैन है
जैसे आंधी आते-आते रुक गयी
अब कौन गिराएगा
कचे मकानों को
कैसे डालेगे धूल
किसीकी आंखों में
बच जायेंगे कांच के खिलोने
पीड जुडे रहेंगे ज़मीन से
कुच्छ उज्देगा नहीं
सब अपनी जगह पर कायम होगे
कोई रहें की भीक नहीं मांगेगा
परिंदे गिर नहीं जायेंगे
अपने ही पंख के बोझ से
खिड़की पर दस्तक की आवाज़ नहीं आएगी
खामोशी को सताने
आज फिर से हवा बेचैन है
और मैं भी
मुझे भी वोह आंधी चाहिए
जब शाख पर शबनम
पानी के लिए तरसे
हर बात का अफ़सोस
दर्द के लिए तडपे
खून की लहर में तूफ़ान आ जाए
और बेताब नासौं में ज़िन्दगी भर दे
भड़कती हुई आग की मंजिल न हो
ऐसे शोलौं में ही बेक़रारी है
जिसे बाँध नहीं सकते
वोह तमन्ना ही आजादी है
आज फिर से हवा बेचैन है
जैसे किसीने उसके पर काट लिए हो
5 comments:
FV:
Great. You are in superb form. One of your best I've read so far. Huge compliments.
Now how can I get this is devanagari script to put it up on my wall.
Angrezi mein woh baat naheen ayegi naa
PS,
Try the Google Transliteration tool, it is in google labs.
FV,
i downloded this some days back ...Ghalib ka rang ..gulzar ka lehza muje bhee de…lafzon se khelne ka salika mujhe bhee de
…teri nawazise hai har ek kahso aam par ….dariya hai tera naam to katra mujeh bhee de
Sajdon to mere phir teri chokat nasib ho .. …manzil talak pahunchene ka rasta muje bhee de
Aakhir meri dua se asar kyun chala gaya …meri bhee sun le .,..khusaiyon ka tohfa mujhe bhee de…
Log kehte hai key eh ishq ka sauda kya hai ….meri aakhon ne teri zaat main dekha kya hai
Ab kisi aur se dil milta nahin kyun aakhir …koi batlaye ke us shaks main aisa kya hai…
God mein apni kyun chupa leti hai kyun maa kee tarah …jism kee mitti kaa is mitti se rishta kya hai …
Kaisa yeh shor hai …..kya chan se hua hai aakhir…dil nahin …sheesha nahin …phir yahan toota kya hai ….
Kitni aasni se has leti ho ae kaliyon, tum to naadan ho tumne abhi dekha kya hai
Ajab mayar hai bikne se kimat aur badti hai, yeh malo zar mile jitna …..zaroorat aur badti hai
Hua Yun, Usne apni ek nayi duniya basa lee hai, suna tha door jaane se mohhabat aur badti.
Shaak ko jukhna hee padta hai, shajar jaisa bhee ho, aihmiyat hai sirf saaye , shajar jaisa bhee ho.
Tum bahut ache ho, Duniyta khoobsurat hai to kya, laut kar vaapas wahin jaana hai ghar jaisa bhee ho
Saath chalna maslahat bhee hai majboori hai, raasta to kaatna hai, hamsafar jaisa bhee ho.
Chahate ho ke mere lab pe shikayat bhee na ho, tum jise mujhe us se rakabat bhee na hoo
Vaapsi ke liye sab uski sharayat manjur, bewafai zamane kee vajahat bhee na ho
Zindagi jaise bhee jee chahe gujaro kein, aaina saamne aaye to nadamat bhee na ho
Had se badhne lage kamjarf to chup kya rehna, buzdili lagne lage aisee sharatfat bhee na ho
Kyun bade log saja lete hai almaari mein, un kitabon ko jinhe padne kee fursat bhee na ho
Saath saath chalne main der kitni lagti hai, raaste badlein mein der kitni lagti hai
Maa jo mujh se roothi main use mana loonga , mom ke pighlein mein der kitni hai
Harkata jo bhul jaye maamtaa kya cheez hai, maa ka saaya sar pe ho to dua kya cheez hai
In chiragon ko bijhana is kadr aasan nahin, Haath ko diwaar kar lo, yeh hawa cheez hai
it is by Dr Naseem Nikhat...
Manish
PS:
Suna hai deewaron ke kaan hote hai, aankh nahin...tau devanagari ya andher nagri, kya fark padega? waise, shall I send a podcast? I can do a Mayawati impersonation:)Your wall may like it...
Manish:
Bohat khoob...
But, was it necesasry to get this Naseem Nighat hamare poetic peit par laat maarne?!
:)
@Manish:
Thanks. Need to work on it to get the damn thing in Hindi.
@FV:
waise, shall I send a podcast? I can do a Mayawati impersonation:)Your wall may like it...
Thanks. Looking forward to it. A FV impersonation would be more welcome.
@Manish:
Damnit, word by word is quite a pain.
Still...
जिसे बाँध नहीं सकते
वोह तमन्ना ही आजादी है
आज फिर से हवा बेचैन है
जैसे किसीने उसके पर काट लिए हो
Post a Comment