Ke jo makaan banaane mein khoye hue hote hai
Unko hi kamzor kar dete hai
Nasoor ki tarah
Gharoun ke jism mein phailkar
Eik-eik hissa aadha sa lagta hai
Oonchi imaaratoun ko dekhkar
Unke zakhm ka ehsaas nahin hota
Door se noor mein nehlaye hue lagte hai
Baadalon ke tauliye poch lete hai geelapan
Agar aansoon hai tau pehchanta nahin koi
Makaanoun ko door se hi dekhna chahiye
Kareeb aane par
Hari seelein aur dhoondhlate rang nazar aa jaayenge
Patthar sadte nahin
Woh kasak ki tarah chubh jaate hai
Deewaron mein daraar aur farsh par chhoti qabrein eenton ki mil jaayegi
Unko dosh bhi kya de
Jo maar kar khud marte hai
Kuchle hue phool se jo khushboo ki mehek niklegi
Uss band kitaab ke qissoun se hum ghar banayenge
Warna neend yateem ho jaayegi
Aankhoun ki aaghosh se
Parde nahin lehrayenge
Khidki kholkar chidiya ka ghausla dekhna padega
Choch mein shaakh liye
Ussey kuchch tootne ka khauf nahin
Hum bhi pattoun ka bistar zameen par bichcha lenge
Eenton ka jawaab dena laazmi hai
Aisa na ho ke khwaaboun ka khwaaboun se hi yaqeen uth jaaye
~FV
Courage isrequired not only in a person's occasional crucial decision for his own freedom, but in the little hour-to-hour decisions which place the bricks in the structure of his building of himself into a person who acts with freedom and responsibility.
ReplyDelete- Rollo May
circle
Circle:
ReplyDeleteThis is nicely put. Sometimes, though, each brick, each fragment, each par of oneself leaves to create a separate entity.