11.2.08

Today morning

Sitting with my back to the sun, I liked the shaft of light on the floor.

A song that may seem unconnected but which I hummed...

jalate hai.n jisake liye, terii aa.Nkho.n ke diye
Dhuu.NDh laayaa huu.N vahii, giit mai.n tere liye
jalate hai.n jisake liye

dard banake jo mere dil me.n rahaa Dhal naa sakaa
jaaduu banake terii aa.Nkho.n me.n rukaa chal naa sakaa
aaj laayaa huu.N vahii giit mai.n tere liye
jalate hai.n jisake liye

dil me.n rakh lenaa ise haatho.n se ye chhuuTe na kahii.n
giit naazuk hai meraa shiishe se bhii TuuTe na kahii.n
gunagunaauu.ngaa yahii giit mai.n tere liye
jalate hai.n jisake liye

jab talak naa ye tere ras ke bhare ho.nTho.n se mile
yuu.N hii aavaaraa phiregaa ye terii zulfo.n ke tale
gaaye jaauu.ngaa yahii giit mai.n tere liye
jalate hai.n jisake liye

Lyrics: Majrooh Sultanpuri; Music: S.D.Burman; Singer: Talat Mehmood; Film: Sujata

2 comments:

  1. FV:

    Nice picture and Talat singing the song in lower tones, is absolutely magical. Thanks for reminding me of the song!

    ReplyDelete
  2. PS:

    Talat is on my mind even now...

    "ek mai.n huu.N ek merii beqasii kii shaam hai
    ab to tujh bin zi.ndagii bhii mujh pe ik ilzaam hai

    dil pe kyaa guzarii tere jaane se ko_ii kyaa kahe
    saa.Ns jo aatii hai vo bhii dard kaa paiGaam hai

    aa.Nsuuo.n mujh par ha.Nso mere muqaddar par ha.Nso
    ab kahaa.N vo zi.ndagii jis kaa muhabbat naam hai"

    The absolutely divine music of Anil Biswas

    ReplyDelete

Note: only a member of this blog may post a comment.